Roi Jab Ladli Muhammad (SAW) Ki
Watch the noha
Open on YouTube ↗Listen to the audio
Audio recording · Kazmi Brothers
Download audio ↧Roi jab laadli Muhammad ki saara darbaar muskuraaya hai
Haye baad-e-Rasool Zahra par kaisa ghurbat ka waqt aaya hai
Jaise jaise Batool roti thi qahqahe unke barhte jaate the
Saath jin ko Batool laayi thi ashk dono gawaah bahaate the
Sab the masroof muskuraane mein na kisi ko bhi taras aaya hai
Tere mimbar par baithe ghaasib ko teri tehreer bhi dikhaayi hai
Kar ke tukre laeen ne Baba bharay darbaar mein uraayi hai
Paak tehreer ko hai tukron mein maine darbaar se uthaaya hai
Main to woh hoon ke ya Rasool Allah jis ki tazeem aap karte the
Naam lena ho jab mera Baba aap pehle durood parhte the
Kya bataaun ke mujh pe kya guzri us ne to keh ke jab bulaaya hai
Ye woh Bibi hai ke Muhammad bhi jis ko Umm-e-Abiha kehte the
Woh sawaali bhi khari thi magar saamne kursiyon par baithe the
Us ko Muslim kahoon bhala kyun kar jis ne Bibi ka dil dukhaaya hai
روئی جب لاڈلی محمد کی سارا دربار مسکرایا ہے
ہائے بعدِ رسول زہرا پر کیسا غربت کا وقت آیا ہے
جیسے جیسے بتول روتی تھیں قہقہے اُن کے بڑھتے جاتے تھے
ساتھ جن کو بتول لائی تھیں اشک دونوں گواہ بہاتے تھے
سب تھے مصروف مسکرانے میں نہ کسی کو بھی ترس آیا ہے
تیرے منبر پر بیٹھے غاصب کو تیری تحریر بھی دکھائی ہے
کر کے ٹکڑے لعین نے بابا بھرے دربار میں اڑائی ہے
پاک تحریر کو ہے ٹکڑوں میں میں نے دربار سے اٹھایا ہے
میں تو وہ ہوں کہ یا رسول اللہ جس کی تعظیم آپ کرتے تھے
نام لینا ہو جب میرا بابا آپ پہلے درود پڑھتے تھے
کیا بتاؤں کہ مجھ پہ کیا گزری اُس نے تو کہہ کے جب بلایا ہے
یہ وہ بی بی ہے کہ محمد بھی جس کو اُمِّ ابیہا کہتے تھے
وہ سوالی بھی کھڑی تھی مگر سامنے کرسیوں پر بیٹھے تھے
اس کو مسلم کہوں بھلا کیوں کر جس نے بی بی کا دل دکھایا ہے


