Woh Bakamaal Hai, Woh Be-Misaal Hai
Watch the manqabat
Open on YouTube ↗Listen to the manqabat
Recited by Nadeem Sarwar · Kalam by Rehan Azmi
Download audio ↧Ya Umm-E-Abiha (SA), Ya Umm-e-Faqeeha
Ya Ashrafun Nisa, Ya Fatima Zahra (SA)
Ya Zahra (SA), Ya Zahra (SA), Ya Zahra (SA), Ya Zahra (SA)
Woh ba-kamaal hai, woh be-misaal hai
Jo phool Fatima (SA) ka, woh la-zawaal hai
Awwaluna Muhammad (SAW), awsatuna Muhammad (SAW)
Aakhiruna Muhammad (SAW), kulluna Muhammad (SAW)
Paalay hain khoon se Abu Talib (AS) ne chaand phool
Ik un mein hai Imam, to hai doosra Rasool (SAW)
Ik asl-e-deen, doosra hai deen ka usool
Jo un ka hai khayaal, Khuda ka khayaal hai
Awwal Imam Ali (AS) hai imamat ka tajdar
Imran ke chaman mein jo laaya nayi bahaar
Jis ko ata ki Khaliq-e-Akbar ne Zulfiqar
Jis ka wajood deen-e-Muhammad (SAW) ki dhaal hai
Baad-e-Ali (AS), Hasan (AS) hai risalat ka aaina
Tora hai jis ne takht-o-hukumat ka aaina
Hai hu-ba-hu Rasool (SAW) ki seerat ka aaina
Kaata qalam se jis ne burai ka jaal hai
Paida hue Husain (AS) jab
Jibraeel (AS) dar pe aaye salami ko ba-adab
Bole payaam deta hai dono jahan ka Rab
Hum ko pasand dil se yeh Zahra (SA) ka laal hai
Ik phool Fatima (SA) ka, ibadat ka zeb-o-zeen
Zain-ul-Aba woh aabid-o-sajid, dil-e-Husain (AS)
Sajde ko jis ke pyar kare Rab-e-Mashriqain
Khutbon mein jis ki tamkanat-e-Zuljalal hai
Baqir (AS) bhi ek phool hai sehn-e-Batool (SA) ka
Jis ki ragon mein khoon Ali (AS) aur Rasool (SAW) ka
Mushkil-kusha jahan mein woh har dil-malool ka
Nasl-e-Abu Jahl ka usi se qitaal hai
Ik Sadiq-ul-khiyal hai, woh Sadiq-ul-wujood
Ja'far (AS) hai Ja'fari ke shajar ki hai woh namood
Maqbool bargah-e-Khuda jis ke hain sujood
Us ke faqr ke tabi Muhammad (SAW) ki Aal hai
Ik laal un ka Musa Kazim (AS), falak-asas
Jis ke badan pe jadd ki shariat ka hai libaas
Ilm-e-Nabi (SAW) ki saari fiza us ke aas-paas
Jadd ki tarah se deen-e-Nabi (SAW) ki woh dhaal hai
Mashhad mein ek laal ka darushshifa bhi hai
Rab ki raza hai us ki raza, woh Raza (AS) bhi hai
Us dar se jis ne maanga hai, jo kuch mila bhi hai
Roze se jis ke khota nahin rad-e-sawaal hai
Taqwa mein ek phool Taqi (AS), ta-hadd-e-khayaal
La-raib woh zamane mein be-misaal-o-be-misaal
Khush-fikr-o-khush-mizaaj-o-khush-bakht-o-be-misaal
Ajdaad ki kitaab ka harf-e-kamaal hai
Ab hai naqeeb-e-haq-o-sadaqat, Naqi (AS) ki baat
Yeh baat hai Nabi (SAW) ki, yahi Ali (AS) ki baat
Burj-e-daham mein aa hi gayi roshni ki baat
Us ke amal se kufr ke sheeshe mein baal hai
Askar (AS)-mizaaj, lashkar-e-imaan, la-lashkari
Qamat mein Mustafa (SAW) hai, jo seerat mein hai Ali (AS)
Us ke pisar (AS) ke dam se qayamat ruki hui
Khamoshiyon mein jis ki bala ka jalaal hai
Tazeem ka hai waqt, ab aaya hai us ka naam
Qaim (ATFS) hai jis ke dam se zamane ka kul nizaam
Naam aaye jis ke lab pe to wajib hua salaam
Ab qaatil-e-Husain (AS) ka bachna muhaal hai
Rehan, wasf-e-Aal-e-Muhammad (SAW) bayaan ho
Madhat-saraai ke liye ik nauha-khwan ho
Sarwar ka jo Nadeem ho, ahl-e-zabaan ho
Is zikr ki asaas mein Rab ka jamaal hai
یا اُمِّ ابیہا، یا اُمِّ فقیہہ
یا اشرفُ النساء، یا فاطمہ زہراؑ
یا زہراؑ، یا زہراؑ، یا زہراؑ، یا زہراؑ
وہ باکمال ہے، وہ بے مثال ہے
جو پھول فاطمہؑ کا وہ لازوال ہے
اوّلُنا محمدؐ، اوسطُنا محمدؐ
آخرُنا محمدؐ، کُلُّنا محمدؐ
پالے ہیں خون سے ابو طالبؑ نے چاند پھول
اک ان میں ہے امام تو ہے دوسرا رسولؐ
اک اصلِ دین دوسرا ہے دین کا اصول
جو ان کا ہے خیال خدا کا خیال ہے
اوّل امام علیؑ ہے امامت کا تاجدار
عمران کے چمن میں جو لایا نئی بہار
جس کو عطا کی خالقِ اکبر نے ذوالفقار
جس کا وجود دینِ محمدؐ کی ڈھال ہے
بعدِ علیؑ حسنؑ ہے رسالت کا آئینہ
توڑا ہے جس نے تخت و حکومت کا آئینہ
ہے ہو بہو رسولؐ کی سیرت کا آئینہ
کاٹا قلم سے جس نے برائی کا جال ہے
پیدا ہوئے حسینؑ جب
جبرئیلؑ در پہ آئے سلامی کو باادب
بولے پیام دیتا ہے دونوں جہاں کا رب
ہم کو پسند دل سے یہ زہراؑ کا لال ہے
اک پھول فاطمہؑ کا عبادت کا زیب و زین
زین العبا وہ عابد و ساجد دلِ حسینؑ
سجدے کو جس کے پیار کرے ربِ مشرقین
خطبوں میں جس کی تمکنتِ ذوالجلال ہے
باقرؑ بھی ایک پھول ہے صحنِ بتولؑ کا
جس کی رگوں میں خون علیؑ اور رسولؐ کا
مشکل کشا جہاں میں وہ ہر دل ملول کا
نسلِ ابو جہل کا اسی سے قتال ہے
اک صادق الخیال ہے وہ صادق الوجود
جعفرؑ ہے جعفری کے شجر کی ہے وہ نمود
مقبول بارگاہِ خدا جس کے ہیں سجود
اس کے فقر کے تابع محمدؐ کی آل ہے
اک لال ان کا موسیٰ کاظمؑ فلک اساس
جس کے بدن پہ جد کی شریعت کا ہے لباس
علمِ نبیؐ کی ساری فضا اس کے آس پاس
جد کی طرح سے دینِ نبیؐ کی وہ ڈھال ہے
مشہد میں ایک لال کا دارالشفا بھی ہے
رب کی رضا ہے اس کی رضا وہ رضاؑ بھی ہے
اس در سے جس نے مانگا ہے جو کچھ ملا بھی ہے
روضے سے جس کے کھوٹا نہیں رد سوال ہے
تقویٰ میں ایک پھول تقیؑ تا حدِ خیال
لا ریب وہ زمانے میں بے مثال و بے مثال
خوش فکر و خوش مزاج و خوش بخت و بے مثال
اجداد کی کتاب کا حرفِ کمال ہے
اب ہے نقیبِ حق و صداقت نقیؑ کی بات
یہ بات ہے نبیؐ کی یہی علیؑ کی بات
برجِ دہم میں آ ہی گئی روشنی کی بات
اس کے عمل سے کفر کے شیشے میں بال ہے
عسکرؑ مزاج لشکرِ ایماں لا لشکری
قامت میں مصطفیٰؐ ہے جو سیرت میں ہے علیؑ
اس کے پسرؑ کے دم سے قیامت رکی ہوئی
خاموشیوں میں جس کی بلا کا جلال ہے
تعظیم کا ہے وقت اب آیا ہے اس کا نام
قائمؑ ہے جس کے دم سے زمانے کا کل نظام
نام آئے جس کے لب پہ تو واجب ہوا سلام
اب قاتلِ حسینؑ کا بچنا محال ہے
ریحان وصفِ آلِ محمدؐ بیاں ہو
مدحت سرائی کے لیے اک نوحہ خواں ہو
سرور کا جو ندیم ہو اہلِ زباں ہو
اس ذکر کی اساس میں رب کا جمال ہے


