Syeda (SA) Ka Mohsin (AS)
Watch the noha
Open on YouTube ↗Listen to the audio
Audio recording · Raza Abbas Zaidi
Download audio ↧Hasan (AS), Hussain (AS) se pehle shaheed kam-sin hai
Woh koi aur nahin Sayyida (SA) ka Mohsin (AS) hai
Hua shaheed jo deewar-o-dar ke beech aa kar
Jise bachane se zakhmi hai pehlu-e-madar
Udaas us ke liye raat ghamzada din hai
Woh jis ne Karb-o-Bala ka safar kiya hi nahin
Zaban se jis ne abhi maa ko maa kaha hi nahin
Woh jhoolta kisi jhoolay mein, kya yeh mumkin hai
Ali (AS) ne aisa janaza kahan uthaya hai
Shaheed ho ke jo maidan-e-gham mein aaya hai
Woh sheer-khwar jo na-waqif-e-qad-o-sin hai
Woh jis ko ghusl-o-kafan ki kahan zarurat thi
Woh jis ke tan pe yeh misl-e-Khuda taharat thi
Jo Karbala ki zameen ka Imam-e-Zamin hai
Chhupa rahe hain Musalman usi shaheed ki baat
Gawah jis ki shahadat ki hai Khuda ki zaat
Yeh qatl sab yeh ayaan hai, kahan yeh batil hai
Qasam Khuda ki, ba-misl Hussain (AS) ibn-e-Ali (AS)
Shaheed ho gaya, lekin madad kisi ki na li
Malool us ke liye qaum Zafarjan hai
Ussi ke azm ki taqlid ki hai Asghar (AS) ne
Use shaheed kiya hai sitam ke lashkar ne
Malool tegh-e-Ali (AS) us shaheed ke bin hai
Firaq-e-Hazrat Mohsin (AS) mein mar gayi Zahra (SA)
Kisi bhi maa pe na utre yeh be-amaan sadma
Yeh dard samjhega Rehan jo bhi momin hai
حسنؑ حسینؑ سے پہلے شہید کمسن ہے
وہ کوئی اور نہیں سیدہؑ کا محسنؑ ہے
ہوا شہید جو دیوار و در کے بیچ آ کر
جسے بچانے سے زخمی ہے پہلوے مادر
اداس اس کے لئے رات غمزدہ دن ہے
وہ جس نے کربو بلا کا سفر کیا ہی نہیں
زباں سے جس نے ابھی ماں کو ماں کہا ہی نہیں
وہ جھولتا کسی جھولے میں کیا یہ ممکن ہے
علیؑ نے ایسا جنازہ کہاں اٹھایا ہے
شہید ہو کے جو میدان غم میں آیا ہے
وہ شیر خوار جو نہ واقف قد و سن ہے
وہ جس کو غسل و کفن کی کہاں ضرورت تھی
وہ جس کے تن پہ یہ مثل خدا طہارت تھی
جو کربلا کی زمیں کا امام ضامن ہے
چھپا رہے ہیں مسلمان اسی شہید کی بات
گواہ جس کی شہادت کی ہے خدا کی ذات
یہ قتل سب یہ عیاں ہے کہاں یہ باطل ہے
قسم خدا کی بہ مثل حسینؑ ابن علیؑ
شہید ہو گیا لیکن مدد کسی کی نہ لی
ملول اس کے لئے قوم زعفر جن ہے
اسی کے عظم کی تقلید کی ہے اصغرؑ نے
اسے شہید کیا ہے ستم کے لشکر نے
ملول تیغ علیؑ اس شہید کے بن ہے
فراق حضرت محسنؑ میں مر گئی زہراؑ
کسی بھی ماں پہ نہ اترے یہ بے اماں صدمہ
یہ درد سمجھے گا ریحان جو بھی مومن ہے


