Allah Ek Hai, Panjtan Paanch Hain
Watch the manqabat
Open on YouTube ↗Listen to the manqabat
Recited by Shadmaan Raza · Kalam by Allama Majid Raza Abidi
Download audio ↧Allah ek hai, Panjtan paanch hain
Imam barah hain, masoom chaudah hain
Pehle Imam Ali (AS) hain, laqab jin ka Murtaza
Aur doosre Hasan (AS) hain, laqab jin ka Mujtaba
Aur teesre Husain (AS), Shehenshah-e-Karbala
Maa Fatima (SA) hain jinki laqab jinka Sayyida (SA)
Chauthe Imam Ali (AS) hain, laqab Zain-ul-Abideen
Kehtay hain jin ko Syed-e-Sajjad momineen
Aur ek laqab hai Abid-e-Beemar o dil hazeen
Sajdon se jinki ab bhi munawwar hai yeh zameen
Hain panchway Imam Muhammad (AS) hain jinka naam
Baqir (AS) laqab se jantay hain inko khaas-o-aam
Hai ilm mere panchway Aqa ka bhi ghulaam
In ko salaam karte hain Jibraeel (AS) subh-o-shaam
Hain momino ke Ja'far-e-Sadiq (AS) chhatay Imam
Jin ka kalaam lagta hai Qur'an ka kalaam
Sadiq Imam (AS) ko tou hai sach bolnay se kaam
Hai fiqh-e-Ja'fari ki shariyat inhi ka naam
Aur saatway Imam ko Kazim (AS) laqab mila
Musa (AS) hai naam Ja'far-e-Sadiq (AS) ke laal ka
Jo apni poori zindagi bas qaid mein raha
Tou qaid ko bhi sahib-e-izzat bana diya
Hain aathway Imam hamaray Ali Raza (AS)
Jin ko Imam-e-Zamin o Thamin (AS) laqab mila
Rozay mein jin kay ek hai darwaza-e-shifa
Hoti hai har mareez ko sehat wahin ata
Apnay naway Imam laqab jin ka hai Jawad (AS)
Kertay hain jin ko naam-e-Muhammad Taqi (AS) say yaad
Taqwa say jin kay haar gai qoum-e-be-nehaad
Sub nay samajh liya hai kya nafs say jihaad
Dasway Imam jin ka hai ism-e-jali Ali (AS)
Allah ki taraf say mila hai laqab Naqi (AS)
Soorat mein jin ki baap ka tha husn-e-munjali
Seerat mein jin kay aayi nazar seerat-e-Nabi (SAW)
Hain gyarway Imam Hassan (AS) jin ka naam hai
Aur Askari (AS) laqab hai, shah-e-khaas-o-aam hai
Yani Khudai fouj ka jo intizaam hai
Sab in ke haath mein, yeh in ka maqam hai
Aur barhway Imam zamanay kay tajdaar
Jo apnay naam say hain Payambar (SAW) ki yaadgaar
Ek wasf mein jo wasf-e-Khuda say hamkinaar
Parday mein hain Imam (AS), tou parday mein Kirdigaar
Majid hay lab pe barah Imamo (AS) ka jo bayaan
Main is bayaan say dehr mein rehta hoon shadmaan
Hota hai zikr Aqa (AS) ka meray jahan jahan
Mola (AS) kay sadqay zikr hai mera wahan wahan
اللہ ایک ہے، پنجتن پانچ ہیں
امام بارہ ہیں، معصوم چودہ ہیں
پہلے امام علیؑ ہیں لقب جن کا مرتضیٰ
اور دوسرے حسنؑ ہیں لقب جن کا مجتبیٰ
اور تیسرے حسینؑ شہنشاہِ کربلا
ماں فاطمہؑ ہیں جن کی لقب جن کا سیدہؑ
چوتھے امام علیؑ ہیں لقب زین العابدین
کہتے ہیں جن کو سیدِ سجاد مومنین
اور ایک لقب ہے عابدِ بیمار و دل حزیں
سجدوں سے جن کے اب بھی منور ہے یہ زمیں
ہیں پانچویں امام محمدؑ ہے جن کا نام
باقرؑ لقب سے جانتے ہیں ان کو خاص و عام
ہے علم میرے پانچویں آقا کا بھی غلام
ان کو سلام کرتے ہیں جبرئیلؑ صبح و شام
ہیں مومنوں کے جعفرِ صادقؑ چھٹے امام
جن کا کلام لگتا ہے قرآن کا کلام
صادقؑ امام کو تو ہے سچ بولنے سے کام
ہے فقہِ جعفری کی شریعت انہی کا نام
اور ساتویں امام کو کاظمؑ لقب ملا
موسیٰؑ ہے نام جعفرِ صادقؑ کے لال کا
جو اپنی پوری زندگی بس قید میں رہا
تو قید کو بھی صاحبِ عزت بنا دیا
ہیں آٹھویں امام ہمارے علی رضاؑ
جن کو امامِ ضامن و ثامن لقب ملا
روضے میں جن کے ایک ہے دروازۂ شفا
ہوتی ہے ہر مریض کو صحت وہیں عطا
اپنے نویں امام لقب جن کا ہے جوادؑ
کرتے ہیں جن کو نامِ محمد تقیؑ سے یاد
تقویٰ سے جن کے ہار گئی قومِ بدنہاد
سب نے سمجھ لیا ہے کیا نفس سے جہاد
دسویں امام جن کا ہے اسمِ جلی علیؑ
اللہ کی طرف سے ملا ہے لقب نقیؑ
صورت میں جن کے باپ کا تھا حُسنِ منجلی
سیرت میں جن کے آئی نظر سیرتِ نبیؐ
ہیں گیارہویں امام حسنؑ جن کا نام ہے
اور عسکریؑ لقب ہے شہِ خاص و عام ہے
یعنی خدائی فوج کا جو انتظام ہے
سب ان کے ہاتھ میں ہے یہ ان کا مقام ہے
اور بارہویں امام زمانے کے تاجدار
جو اپنے نام سے ہیں پیغمبرؐ کی یادگار
اک وصف میں جو وصفِ خدا سے ہے ہم کنار
پردے میں ہے امامؑ تو پردے میں کردگار
ماجد ہے لب پہ بارہ اماموںؑ کا جو بیاں
میں اس بیاں سے دہر میں رہتا ہوں شادماں
ہوتا ہے ذکر آقا کا میرے جہاں جہاں
مولا کے صدقے ذکر ہے میرا وہاں وہاں

