Akeli Hai Zahra
Watch the noha
Open on YouTube ↗Listen to the audio
Reciter not identified · Kalam by Akhtar Abbas Al-Arbi
Download audio ↧Kahan jaaye aakhir, bayabaan har soo
Shikasta hai pehlu, akeli hai Zahra (SA)
Rone pe pehra, masaib ka sehra
Akeli hai Zahra (SA)
Dar-e-Fatima (SA) ko jalaya hai tumne
Kiya waada apna bhulaya hai tumne
Tamaanche na maaro, Musalmano jao
Ali (AS) ko bulao, akeli hai Zahra (SA)
Bayaan kis se jaa kar karun dard apna
Hai ghairon ki duniya, nahi koi apna
Koi jaa ke Baba se jaa ke yeh keh do
Ke le jao aa kar, akeli hai Zahra (SA)
Aye Lakht-e-Jigar, aye Hasan (AS) Ibn-e-Haider (AS)
Yeh Nana (SAW) ke pehlu mein sone na de gar
Tum aa jaana pehlu mein, so jaana Maa ke
Baqi mein yahan par akeli hai Zahra (SA)
Shah-e-Karbala (AS) ne kaha ro ke Maa se
Yeh mazloom bete ne mazloom Maa se
Akela hoon main bhi, akeli hai Zainab (SA)
Akele hain Baba, akeli hai Zahra (SA)
Sar-e-Marg Akhtar tha Zahra (SA) ka nauha
Kab aaoge Mehdi (AS), kab aaoge Beta
Khuda ke liye ab yeh parda hatao
Chale aao, aao, akeli hai Zahra (SA)




