Ya Zahra Ya Zahra
Watch the noha
Open on YouTube ↗Listen to the noha
Recited by Syed Shuja Rizvi · Kalam by Qamar Hasnain
Download audio ↓Ya Zahra, Ya Zahra
Aadhi raat ki taariki mein lekar chashm-e-tar
Mere Maula aa jaate hain qabr-e-Zahra (SA) par
Haye karb-e-Imam-e-Zamana (AS) qabr-e-Zahra (SA) par
Sar ko jhuka kar qabr pe aa kar rote rehte hain
Chupke chupke jaane kya kya Maula kehte hain
Subbat Alayya ki hain sadaayein marqad ke andar
Jaise baad-e-Asr hua tha laash-e-pisar ka haal
Maa ki marqad ko kar daala zaalim ne paamaal
Door talak bas ret hai phaili, mitti aur kankar
Ek shikasta pehlu ki aawaaz mein kya hai dard
Arsh-e-Ilahi kaanp raha hai, chehra-e-deen hai zard
Ashk mein doobi hui mitti hai, rote hain patthar
Ghaibat ke parde mein hoon, mehroomi toh dekhein
Dadi apne pote ki mazloomi toh dekhein
Dadi meri aankhon mein hai Shaam ka har manzar
Raat ki os hai, din ki dhoop ka hai aazaar yahan
Qabr ke upar saaye ka bhi koi nahi imkaan
Jaise Zainab (SA) aur Kulsoom (SA) ke sar pe nahi chaadar
Bayaan:
Bibi (SA) farmaati hain:
Baba! Aapke baad mujh pe woh museebatein aayin
Jo dinon par padtin toh taareek raaton mein badal jaate
Jo pahaadon par padtin toh pahaad surme mein badal jaate
Aaj bhi mahal Shah ke roshan hain
Magar teri qabr-e-mutahhar pe na koi saayebaan hai, na koi diya jalta hai
Ajab nahi ke qabr-e-Paighambar (SAWW) se aawaaz aati ho
Beti teri qabr pe ab tak koi nahi saaya
Jaise tha be-gor-o-kafan Karbal mein tera jaaya
Kehti hai mitti mein ati yeh qabr-e-Paighambar (SAWW)
Arsh-e-Ilahi hilta hai toh taare rote hain
Dadi aapki mazloomi pe saare rote hain
Girya-kunaan hain saare Imam (AS) aur saare Paighambar
Marqad se aati hai sada yeh bint-e-Paighambar (SAWW) ki
Beta tere karb se waaqif hai teri Dadi
Mohsin (AS) ke bhi khoon ka badla waajib hai tujh par
Dadi aapke paas hai ab bhi kurta Asghar (AS) ka
Dadi mujhko bas lena hai Mohsin (AS) ka badla
Aap dua dein khul jaaye bas ghaibat ka yeh dar
Haath mein hai is waqt bhi mere Haider (AS) ki talwaar
Main toh har ek soorat mein hoon aane ko tayyaar
Roke Qamar, Maula ne kaha tayyaar nahi lashkar
یا زہرا، یا زہرا
آدھی رات کی تاریکی میں لے کر چشمِ تر
میرے مولا آ جاتے ہیں قبرِ زہرا پر
ہائے کربِ امامِ زمانہؑ قبرِ زہرا پر
سر کو جھکا کر قبر پہ آ کر روتے رہتے ہیں
چپکے چپکے جانے کیا کیا مولا کہتے ہیں
صُبَّتْ عَلَيَّ کی ہے صدائیں مرقد کے اندر
جیسے بعدِ عصر ہوا تھا لاشِ پسر کا حال
ماں کی مرقد کو کر ڈالا ظالم نے پامال
دور تلک بس ریت ہے پھیلی، مٹی اور کنکر
ایک شکستہ پہلو کی آواز میں کیا ہے درد
عرشِ الٰہی کانپ رہا ہے، چہرۂ دیں ہے زرد
اشک میں ڈوبی ہوئی مٹی ہے، روتے ہیں پتھر
غیبت کے پردے میں ہوں، محرومی تو دیکھیں
دادی اپنے پوتے کی مظلومی تو دیکھیں
دادی میری آنکھوں میں ہے شام کا ہر منظر
رات کی اوس ہے، دن کی دھوپ کا ہے آزار یہاں
قبر کے اوپر سائے کا بھی کوئی نہیں امکاں
جیسے زینبؑ اور کلثومؑ کے سر پہ نہیں چادر
بیان:
بی بیؑ فرماتی ہیں:
بابا! آپ کے بعد مجھ پہ وہ مصیبتیں آئیں
جو دنوں پر پڑتیں تو تاریک راتوں میں بدل جاتے
جو پہاڑوں پر پڑتیں تو پہاڑ سرمے میں بدل جاتے
آج بھی محل شاہ کے روشن ہیں
مگر تیری قبرِ مطہر پہ نہ کوئی سائباں ہے، نہ کوئی دیا جلتا ہے
عجب نہیں کہ قبرِ پیغمبرؐ سے آواز آتی ہو
بیٹی تیری قبر پہ اب تک کوئی نہیں سایہ
جیسے تھا بے گور و کفن کربل میں تیرا جایا
کہتی ہے مٹی میں اٹی یہ قبرِ پیغمبرؐ
عرشِ الٰہی ہلتا ہے تو تارے روتے ہیں
دادی آپ کی مظلومی پہ سارے روتے ہیں
گریہ کناں ہیں سارے امامؑ اور سارے پیغمبر
مرقد سے آتی ہے صدا یہ بنتِ پیغمبرؐ کی
بیٹا تیرے کرب سے واقف ہے تیری دادی
محسنؑ کے بھی خون کا بدلہ واجب ہے تجھ پر
دادی آپ کے پاس ہے اب بھی کرتا اصغرؑ کا
دادی مجھ کو بس لینا ہے محسنؑ کا بدلہ
آپ دعا دیں کھل جائے بس غیبت کا یہ در
ہاتھ میں ہے اس وقت بھی میرے حیدرؑ کی تلوار
میں تو ہر اک صورت میں ہوں آنے کو تیار
روکے قمر، مولا نے کہا تیار نہیں لشکر


