Fatima Ka Bharay Madinay Mein Reciter: Mir Hasan Mir Writer: Hasnain Akbar Category: Noha | Ayyam-e-Fatimiyah Haye Mazlooma Fatima Zahra (SA) Haye Mehrooma Fatima (SA) ka bharay Madinay mein gham bataane koi nahi aaya Ghar jalaane ko kalma-go aaye, haye ghar bujhaane koi nahi aaya Kya woh Islam ka hi markaz tha, kya Madina tha woh Muhammad (SAWW) ka Lag rahe the jahan pe Zahra (SA) ke taaziyaane, koi nahi aaya Rassiyan thi Ali (AS) ki gardan mein, aur bazaar se guzarte the Sab tamashayi ban ke takte rahe, aur chhudaane koi nahi aaya Dar jala, qatl ho gaye Mohsin (AS), pasliyan Sayyeda (SA) ki toot gayin Phir bhi kehte ho tum ke Zahra (SA) par zulm dhaane koi nahi aaya Khud hi chunne lagi Nabi Zaadi (SA), bikhri tehreer apne Baba ki Mustafa (SAWW) ki sanad ke tukdon ko, haye jab uthaane koi nahi aaya Har sitam Fatima (SA) pe dhaaya gaya, jalta darwaza bhi giraaya gaya Apne Mehdi (AS) ko di sada usne, haye jab bachaane koi nahi aaya Aath Shawwal ko hui Akbar, phir shahadat Nabi (SAWW) ki beti ki Gir raha tha mazaar Bibi (SA) ka, aur bachaane koi nahi aaya